donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Beta mujhse kya tum ik wada karoge *
Beta mujhse kya tum ik wada karoge
Mere liye chota sa naik iraada karo ge?

Jitna tumne mujhe apna pyar hei diya
Kiya baqi sab ko ghar mein de sakte ho
Mein jaanti hon tum mein bohat sabr hei
Kya wo ab istimaal mein tum la sakte ho?

Tumhe meri gudiya ka khayal rakhna hoga
Wo waqt se uthe khaye ye ab takna hoga
Wo mujhse door ho kar kahan chain payegi
Meri kami usse har ik maud pe ab satayegi

Tum sabse bade ho apne behan bhaiyon mein
Badha ban ke tumhein ab sab ko dikhana hei
Meine bachpan se ab tak kya sikhaya hei tumhe
Wo sab kar ke tumhein inko ab batana hei

Meine khuda se thodi si mohlat maang li thi
Ke teri Zindagi ka humsafar, to mein dekh loon
Meine dekh liya aur mujhe pasand bhi hei wo
Par usse choo ke mein shayad na dekh sakoon

Tumhe ik naye bandhan mein ab juda dekhna
To shayad tha hi nahi, mere iss naseeb mein
Par uss din jab meri bahu ko tum ghar le aoge
To dekhna paoge mujhe, dono qareeb mein

Mein jahan hoon wahan mujhe koi dard hi nahi
Na mein pareshan ab yahan zara rehti hoon
Mera wakas ab apne bhain behan aur abu ka
Sahara banega apni ami se mein kehti hoon

Haan meri ammi abu bhi mere ab paas hein
Mein unke saath ik hi mahal mein rehti hoon
Tumne kya kuch kiya mujhe bachane ke liye
Wo sab kuch mein ab in dono se kehti hoon

Wo kehte hein unhe poora yaqeen hei
Ke tum rakhoge meri baat ke maan ko
Ek ache bete aur bhai ki tarah wakas
Poora karoge har mere armaan ko

Chalo ab chalti hoon mere bete ab
Mujhe aage bhi thoda jaana hei
Baagh mein ammi ke sath ai hoon
Wapis phir mahal bhi to jaana hei
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315