donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zaat paat ko lekar aap kitni door chala jaate ho *
zaat paat ko lekar aap kitni door chala jaate ho
khud ko kitne maan se phir bhi insaan batate ho

kya khabar hei aapko iss mazhab mein
aisi to koi bhi baat nahi
apne maqsid ke liye mazhab badale jo
hota rab bhi to uske sath nahi

bhala ye kya baat hui ke khandan ke liye
aap apne bachon ki pasand ko daba dete ho
jo aapka kabhi bhi na acha chahte hon
aap unhi ko apna humraaz bana dete ho

kuch hosh karo aap khuda ke waaste
aap kiss dunya ke rehne wale ho
zaat paat ka sawal jab karega khuda
to usko phir kya aap kehne wale ho

apni zaat se nikal kar to zara dekhiye
aulad ke jism mein aapka hi khoon hei
pasand ki shadi se bhadak uthe ho aap
bhala ye jahalat hei ya ye junoon hei

kya itna bhi kabhi socha hei aapne
ke kya insaniyat issi ka naam hei?
bachon ki khushi mein jo khush na hon
kya maa baap hona issi ka naam hei
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355