donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo tumhe pyar karti hei, tum jaise bhi ho *
Jo tumhe pyar karti hei, tum jaise bhi ho
Kya tumko ye pata hei, bala kaun hei wo

Sare dukh wo tumhare, khud hi seh jaye jo
Phir bhi kuch na kahe, arre kaisi hei wo

Jiske dilki ye duwa hei, aanch tum par na aaye
Kabhi tumpe padhe na, mayoosion ke saaye

Dunya mein na aisa, Koi uss rishte jaisa
Usse rab ne hai yu behja, tohfa bana ke aisa

Iss matlabi zamane mein dekho
Kayin log tumko yu milenge

Jab gham hoga to chodh denge
Khushion mein sang yu khilenge

Chahe jitne bhi tumhe gham hon, ik wohi hei jo
Tumhare aansoon ko apni, aankhon se jaye ro

Meri choti si iltija hei, khush tu usko sada rakhna
Gham tujhse na mile usse, itna khayal rakhna

Bala waqt ka kisse pata hai, ye bada hi bewafa hai
Usko muskurata chodhna, agar tujhse wo hafa hai

Tumhe lag jaye umar uski, Karti hei duwayen jo
Ik maa ke siwa bolo, kaun ho sakta hei wo

Jo tumhe pyar karti hei, tum jaise bhi ho
Kya tumko ye pata hei, bala kaun hei wo
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 340