donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jab chota sa tha tu, tujhe hosh nahi tha koi *
jab chota sa tha tu, tujhe hosh nahi tha koi
na samajh sa tha tu, tera dosh nahi tha koi

maa ke jo pairon mein jannat, jo rab ne hei samai
arre to baat to koi thi hi, jo maa jaisi hasti banai

kya socha hei kabhi tumne, ke agar maa hi na hoti
to ye zindagi teri ye, phir kaisi sunsaan si hoti

bhook se jo tu tha rota, apne kapretha bhigota
kya seene se lagata, agar aur koi hota?

jab buhaar hota tha tujhe, raaton ko thi wo jaagti
kho ke sukoon apne dil, idhar se udhar thi wo bhagti

dukh mile jo tujhe koi bhi uske hote hue
pao ge apni maa ko, dil mein rote hue

maa ko sara pyar de do, usse jitna bhi do ge kam hei
jinki maa nahi hei hoti, unse poocho ye kaisa gham hei

jo uski zindagi mein usko gham hi gham the dete
Bhula ke pyare se rishte ko, muhabat kam the dete

Jo sochte hein dil mein, usse kal kuch hum kahenge
Phir saath humtum dekhna, kitne pyar se yun rahenge

par waqt nahi karta wafa, ae dost ae mere maan jaa
maa hei to uss par naaz kar, phir aaj se hi aaghaz kar

maa ko tu apni bata de ye, ke tera hi ye ihsaan hei
teri duwaaon se hi to, jaan mein meri ye jaan hei

meri zindagi ko tune saari umr apni sonp di
tujhe lag jaye umar meri,mera yehi armaan hei

jo tu nahi hei zindagi, yu weeran si ho jayegi
ye bheedh hum ko dunya ki, kaatne ko khayegi

jo khushion mein sath hote hein, wo to mil hi jayenge
par tu bata, tere jaisi, phir hum kahan se layenge

par tu bata, tere jaisi, phir hum kahan se layenge
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 299