donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na hei himmat tujh mein, kuch bhi karne ki *
Na hei himmat tujh mein, kuch bhi karne ki
Bass lafzon se hi tu to karta sab waar hei

Karta buraai hei jab bhi, koi mauqa mile
Aur phir kehta hei ke watan se pyar hei?

Na hei haya baqi aur koi rahi sharam nahi?
Kya rab ka tujh pe koi kam ye karam nahi?

Ke jiss kadar na-shukra tu ek insaan hei!
Usne di tujhko, phir bhi ye pehchaan hei

Ho Pakistani to iss baat ka to bharam rakho
Mulq ke zakhmon pe ab imaan ka marham rakho

Qurbanian de kar jiss mulq ko hei paaya tumne
Be-hiss ho kar phir issi janat ko hei khaya tumne

Hei waqt abhi WAKAS bacha lo, Quaid ke armaan ko
Ye na ho ik din kho do tum, apne Pakistan ko
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362