|
* Ammi uth jao na ab, hum ghar ko chalte hein *
Ammi uth jao na ab, hum ghar ko chalte hein
Kyun so rahi ho ab tak, iss biyabaan mein?
Jab narm bistar hei ghar mein padha hua
Kyun laiti ho phir iss qabarstan mein?
Koi gila hei mujhse, jo aise naraaz ho tum
Ek baar phir beta keh kar,yun awaaz do tum
Yaad aaraha hei mujhko, wo bachpan ka zamana
Mera jab bimaar hona,tera agosh mein chupana
Chota sa tha mein tab se, tumne behlaaya mujhko
Kya acha aur kya bura hei, farq ye bataya mujko
Mushkil thi jab bhi aayi, meri janib mere Khuda se
Rehmat thi wo ban jaati, meri Maa teri dua se
Jab bhi dua di Maa ne WAKAS, tumhe zindagi ki dua di!
Iske badle mein dekho tumne, Maa qabr mein daba di? |
|