donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Inn ankhon ki hei jo qeemat *
Inn ankhon ki hei jo qeemat
bhala the tum chuka sakte

Jo dali rab ne binai hi na hoti
To dunya ko phir kaise takte

Kya socha hei muh mein hei jo zubaa
Uska hi to ihsaan hei

Bass mein tumhare hota hi kya jab
Bol tum na the Is.Se sakte

Shuqar karo us rab ka tum
Tera salamat ye hath hei

Wo chahta to tujhko na deta ye naimat
Bala tujh mein koi khaas baat hei?

Rab ne tumhe be-hisaab dya hei
Har ik sawaal ka jawab diya hei

Noor-e-Islam se har chupe raaz ko
Tere liye hi benaqaab kya hei

Koi baat to hei jo teri samajh mein na aaye
Tujhe rab ke ilaawa har shai nazar aaye

Namaz ka hosh tujhe bilqul hi nahi hei
Phir kehta hei rab, khushi deta hi nahi hei

Arre tu apne aas paas, Nazar to ghuma ke dekh
Paye ga usko paas hi, usse tu bulaa ke dekh

Wo to har waqt un bandon ke gunaho ko dhota jata hei
Jo uski ibaadat mein ik qatra, bhi ansoo ka bahata hei

Arre ab tu sun, kar le tu, ab iska aaghaz
Kya pata kiss pal yahan, teri padhi jaye namaz
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382