donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yaha log to pal ka sath nahi bhoolte,tumne sab kuch bhula dala hei *
Yaha log to pal ka sath nahi bhoolte,tumne sab kuch bhula dala hei 
Apnon se ziada tumhe jo chahta tha, ussi ka sath ganwa dala hei 

Jo tumhare dil mein hi raha, aur jiske dil mein tum tab se thi 
Jisne pyar kya to sirf tumse kya, uski zindagi mein jab se thi 

Koi wajah bhi to hoti, ye kya kiya ke tab hath hi chod diya 
Jab uss shahs ne tumhare liye,apni zindagi ka rukh mod diya 

Bhala ye sab kuch hone ke baad, dil ko kaise samjha tum paati ho 
Itna pyar bhara naata tod kar, kya dil se muskura tum paati ho 

Ke tumne jo bhi kya acha kya, ke ussi shahs ka dil tod dala hei 
Jisne zindagi ke andhere kunwe se,tumhe hath tham kar nikala hei 

Jiski ankhon se tumne, apne ansoon nikalte dekhe hein 
Apne hi sapne uski ankhon mein, tumne palte dekhe hein 

Jisko tumne apni zindagi ka har raaz bata dala tha 
Apna hath uske hathon mein, bilajijak thama dala tha 

Chalo kya hua jo tum bewafa nikli, ab dekh liya rang zamane ka 
Shaid yehi sila milna tha, sab chod ke tumhe apna banane ka 

Mujhe kya thi khabar iss baat ki, ke kisi aur ki yun ho jaogi 
Ke apne humdum ka naam mera nahi, kisi aur ka tum yun bataogi 

Jiske har ik khat mein, pyar kuch aise andaaz se chalakta tha 
Kabhi bhi hatam hone wala nahi ye, humko aisa hi lagta tha 

Mujhe na gham hei, na shikayat hei, na koi hei ab dil mein baat 
Beech raste mein himat chod de jo, Wo kya dega kisi ka saath 

Jo bhi tumne kya hei sath mere, tumhara dil ye tumko bata dega 
Bad.dua de kar kya paonga mein, iss ka jawab tumhe mera khuda dega
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309