|
* Aisi zindagi chalo aj se guzarein hum *
Aisi zindagi chalo aj se guzarein hum
Apni rooh ko, Islam se sanwarein hum
Apni zubaan se nikle hue har ik lafz ko
Pyare Nabi ki seerat se hi nikharein hum
Uss Rasool ki tarah hum sache ho jayen
Buri baat ko na honton se nikaalein hum
Koi kaam na karein hum kabhi ab shaitani
Apni aa’daat ko kuch istarah sudharein hum
Muaf karde humein Allah jo bhool ho jaye
Kisi insaan se kabhi umeed jo laga lein hum
Agar shauq Janat ka hei tumhe to ao WAKAS
Wahan jaane ke ek do raaz na bata dein hum?
Jo karo Khuda ke liye karo,tab hi balai hogi
Ek taraf Allah hoga jab,ek taraf khudai hogi
Jab imaan tumhara itna mazboot sa ho jayega
Jab tu Quraan ke farmaan mein aisa kho jayega
Jab Islam ko rakho ge zehan mein jab bhi bolo ge
Aur koi ghalt na karoge baat, jab hont kholo ge
Jab Nabi ki baatein, zindagi mein utaar lo ge tum
Aur unke farmaanon pe ye zindagi guzaar lo ge tum
Jab tumhare amal se kabhi koi shakhs sukh payega
To beshaq wo amal tera teri naikion ko badhaye ga
Itna jaan lena ke Allah bandon pe reham karta hei
Wo usse muaf kar deta hei jo bhi uss se darta hei |
|