donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dunya ki koi bhi taqat, apna pyar kam na kar paegi *
Dunya ki koi bhi taqat, apna pyar kam na kar paegi 
Na-umeedi kabhi bhi beech mein, doori ko na laegi 

Tanhai mein bhi tumhe mere pyar ka, kuch istarah ehsaas ho 
Jaise tumhara pyar mere paas hei, mera pyar tumhare paas ho 

Tumhare moti jaise aanson ko, hathon mein apne bhar loon mein 
Jaha pade ho tumhare qadam, rasta phoolon se wo bhar doon mein 

Mere hathon mein apna hath jo do, to phir sab kuch pyara lage ga 
Hum sath hon to phir mushkil hei kya, asaan jeevan sara lage ga 

Khushian tab lagti khushian hein, jab aisa koi saath hota hai 
Dunya ke haseen yun lagne mein,jaise uska hi hath hota hei 

Apne dil pe bharosa kar ke tum, hathon mein lelo iss hath ko 
Roshan karenge hum apne pyar se, har andheri si uss raat ko 

Hum ek duje ke liye bane hein, ye tum bhi jaanti ho 
Saath hein to jahan haseen hei, ye tum bhi maanti ho 

Ankhein band to karo mera hi chehra, samne tumhare aeyga 
Wo haseen din jo guzre the sang, un dino ki yaad dilayega 

Dil ki zara tum maan bhi lo, dil jhoot kabhi nahi kehta hei 
Mujh mein tumhara aur tum mein, pyar mera hi rehta hei 

Doori se dil door hota nahi,WAKAS ye raaz humne jane hein 
Bichad gaye to phir kya hua, abhi milne ke lakh bahane hein
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347