|
* Iss qadar ajeeb sa dekho, hei ye aa gaya zamaana *
Iss qadar ajeeb sa dekho, hei ye aa gaya zamaana
Kaam reh gaya hei apna, sirf paise ko hi kamaana!
Ghar ko sanwaarne mein, din raat guzaarte hein
Jab ke do gaz zamin ka tukda,hei aakhri thikana?
Agar Allah ko maante hein, aur janaat ki bhi talab hei
Kyun munaasib nahi samajte, phir sar ko hum jhukaana?
Kya pata WAKAS ke kab tak, dhadke ga dil ye tera
Aayega kab bulaawa, aur kab ho rab ke paas jaana!
Maa ke jaisa dil ho, kisi ke seene mein |
|