donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Guzaare the wo pyare lamhe, jo banhon mein teri *
Guzaare the wo pyare lamhe, jo banhon mein teri 
Khusboo banke jee rahe hein, wo sanson mein meri 

Hathon mein utha loon tumko, bada lamba hei safar 
Chubhe kaante sab mujhe wo, jo hon rahon mein teri 

Pakda hath tha jo tumhara, wajah uski to yehi thi 
Sachai jhalak rahi thi aise, sab wadon mein teri 

Kuch bhi kaho ye bandhan, itna kamzor to nahi hei 
Ke bass reh jaon ik yaad ban kar, yadon mein teri 

Kaise bhula doon pal wo sare, jab tum ne ye kaha tha 
Ke tumhari dunya to ab rahegi,sada banhon mein meri 

Ab kehte ho tum ke rasta, mujhse kar liya juda hei 
Kya pehle ki tarah phir aajaon, main baton mein teri? 

Mere pyar ki hei jo shidat, tumhe khoob khabar hei iski 
Har ansoo meri aankh se nikla, tha jo ankhon mein terii 

Dil ko jala loon apne, par itni si shart pe WAKAS 
Jo iske jalne se roshni aa jaye, yun raton mein teri
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 312