donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Iss mod pe la kar humko to *
Iss mod pe la kar humko to 
dil kisi ne aisa tod diya 
Wade kiye sath nibhane ke 
Phir raste mein humko chodh diya 

Jiske sang humne dekhe sapne the 
khushi aur gham mein sath jeene ke 
Uss insaan ne dil dukhaya aise hei 
Hue hare hein zakhm mere seene ke 

Bhala kyu na mila, humein aisa koi 
Jisse humse bhi utna hi pyar hota 
bicharne ki baat aate hi zubaan pe 
Khoon ke aansoo se chehre ko bhigota 

Kya hei koi yahan pe, jo iss ka jawab dega 
Mere Beete hue lamhon ka, kuch hisaab dega 
Dil ki aankh se apni, halat koi to dekhe 
Apne pyar se mere, kya aansoon rok sakega 

Kash zindagi yunhi guzar jaati 
Koi humare dil ko kabhi na bhati 
Ab gham ye rahega sada zehan mei ke 
Ye karte wo karte, to wo na jaati 

Jo apna kabhi na ho pata hei 
Wo zindagi mein kyu phir aata hei 
Humein la kar wo aise mukaam par 
Zameen par kyu phir wo giraata hei
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 322