donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Iss zindagi mein jo mera hei,wo sab kuch tumhara hi to hei *
Iss zindagi mein jo mera hei,wo sab kuch tumhara hi to hei 
Inn sanson ko faqat teri iss chahat ka ik sahara hi to hei 

Na kabhi jaana yun chor akela,yeh iltijah hei mere dil ki 
Ek ho jaane ka sapna mera hi nahi, ye tumhara bhi to hei 

Na-umeedi ke iss raste par,mein khauf kyun karon andhere ka 
Har qadam pe jagmagata teri chaahat ka,ik sitara bhi to hei 

Ye safar chahe taweel ho jitna, kahin himat na yun haar dena 
Wo door dariya ke paar to zara dekho, Ik kinaraa bhi to hei 

Tumhare ansoo.on ka pehle meri, inn ankhon se jaari hona 
Ye Khuda ki taraf se ae mere humdum, Ik ishara hi to hei 

Jiss sheeshe ke makaan, bade pyar se tha ghar banana chaha 
Qareeb se dekho zara usko, wo humara hi to hei 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 307