donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab chhota sa tha tu, tujhe hosh nahi tha koi *
Jab chhota sa tha tu, tujhe hosh nahi tha koi 
Na samajh sa tha tu, tera dosh nahi tha koi 

Maa ke jo pairon mein hei jannat rab ne samai 
baat to koi thi hi, jo maa jaisi hasti banai 

Kya socha hei kabhi tumne, ke agar maa hi na hoti 
Zindagi teri ye, phir kitni sunsaan hoti 

Bhook se jo tu tha rota, kapron ko tha bhigota 
Kya seene se lagata, koi aur agar hota 

Jab buhaar, hota tha tujhe 
Raaton ko thi wo jaagti 

Kho ke sukoon apne dil ka yun 
Idhar se udhar thi wo bhagti 

Dukh mile jo tujhe, uske hote hue 
Pao ge usse bhi, dil mein rote hue 

Maa ko tum apni itna pyaar do 
Usse jitna bhi do ge kam hei 
Jinki maa nahi hei hoti 
Unse poocho ye kaisa gham hei 

Jo zindagi mein uski 
Usse gham hi gham the dete 
Jo bhula ke maa ke rishte 
Usse muhabbat kam the dete 

Jo sochte the kal hum 
Usse kuch aaj hum kahenge 
Phir saath hum tum dekhna 
Kitne Pyar se hum sab rahenge 

Par waqt nahi karta wafa 
Ae dost ae mere maan jaa 
Maa hei to uss par naaz kar 
Phir aaj se hi aaghaz kar 

Maa ko tu apni bata de ye 
Ke tera hi ye ihsaan hei 
Teri duwaaon se hi to 
Jaan mein meri ye jaan hei 

Meri zindagi ko tune 
Ye umar apni sonp di 
Tujhe lag jaye ye umar meri 
Mera yehi armaan hei 

Jo tu nahi hei zindagi 
Yu weeran ho jayegi 
Ye bheedh hum ko dunya ki 
Kaatne ko khayegi 

Jo khushion mein sath hon 
Wo to mil hi jayenge 
Par tu bata, tere jaisi 
Phir hum kahan se layenge 

Par tu bata, tere jaisi 
Phir hum kahan se layenge

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 296