donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jiska eik aansoo nikalne se *
Jiska eik aansoo nikalne se 
Ye dil Mera yun rota tha 

Usko Halki si Chot lagne par 
Dard mujhe yun aisa hota tha 

Najane wo shakhs ab gaya kahan 
Khali lagne laga hei sara jahan 

Koi ye to bataye wo badalte hein kyun 
Chodhna hota hein phir, sath chalte hein kyun 

Kya dil ki jagah, pathar rab ne diya hei 
Bata do kusoor, kya humne ab kiya hei 

Itna hi ke humne, maana kisi ko apna 
Na jante the hoga, na pura kabhi ye sapna 

Chalo maana mein bhi nadaan tha 
Shayad mein kuch anjaan tha 

Lekin kyun toda dil ye usne 
Jab milna uska bhi armaan tha 

Kisi ke paas nahi hei iska jawaab 
Mere biteh hue salon ka koi hisaab 

Koi hei jo bata de, mujhe rasta dikha de 
Jaha wafa do wafa mile,aisa jahan dikha de 

Mein bhi to dekhon, koi sath jo nibhaye 
Jo batein hei kehta, wo kar ki bhi dikhaye 

Mujhe jeena hei aur jeena ab sikhaon ga sabko 
Gham ho chahe dil mein, hansaon ga sab ko 
Sab apne liye the jeete, mein auron ke liye jiya hoon 
Ye baat hashar mein jakar, bataon ga apne rab ko
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 310