donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab tumhara dil toot jaye *
Jab tumhara dil toot jaye 
Aur koi rasta na de dikhayi 
Apna bana ke koi bhool jaye 
To tumhe yaad aaonga 

Jab dekho gi tum ek phool ko 
To wo lamhe yaad ayenge 
Jab chahogi unhe bhoolna 
To tumhe yaad aaonga 

Jab tanhai mein kho jaogi 
Aur na hoga koi paas mein 
Jab nam ho jayengi ankhein 
To tumhe yaad aaonga 

Jab qismat pe na yaqeen rahe 
Aur manzil na koi de dikhayi 
Jab dil ki baat sunana chaho 
To tumhe yaad aaonga 

Jab dunya ke rang sab dekh lo 
Jab bewafa logon se jee bhar jaye 
Tab wafa ka koi naame le ga 
To tumhe yaad aaonga 

Jab har baat wo purani 
Humari adhoori si ik kahani 
Raaton mein na de tumko sone 
To tumhe yaad aaonga 

Jab koi pyar mein tumhare 
Na de paye jo dia meine 
Jab koi umeed tod de tumhari 
To tumhe yaad aaonga 

Jab band ho jayengi tumhari sansein 
To apna wada aise poora kar jaonga 
Aasman mein karonga intezaar tumhara 
Kehta tha na,ke tumhare sath jaonga
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344