|
* Jisko yaad karke humne, sari dunya ko bhulaya tha *
Jisko yaad karke humne, sari dunya ko bhulaya tha
Usko apna sab kuch de kar,dil mein yun basaya tha
Apna kehta tha humein, apna maanta tha phir bhi
Milta humse tha jab, to lagta wo kyu paraaya tha
Humne kabhi uske bagheir akele rehna seekha nahin
Wo paas nahi hota tha, tab bhi hota uska saaya tha
Kitni asani se bhula dali, usne wo qasmein wo wade
Najane jhooti baton se,kyun iss dil ko behlaya tha
Usne jab bhi diye gham, phir bhi kuch na keh saka
Uski nadanion par bhi, kuch aisa pyaar aaya tha
Mere bagheir zindagi to kya, wo ik pal na jee pati thi
Kisi aur ka usske dil mein kabhi khayal bhi na aaya tha
Tumhare bagheir mein mar jaoon gi, mujhe koi aur nahi chahiye
Apne honton se har roz usne, yehi to jhoot bulwaya tha
Jab waqt aaya nibhane ka, to wo sab kuch ult kehne laga
Itna pathar dil ho gaya, ke zara na hichkichaya tha
Usse bhula dalon, uski yaad ko jala kar rakh kar daloon
Jiss shahs ne meri wafaon ko, itni asani se bhulaya tha
Jo log ye na samajh sake, ke muhabat kiss cheez ka naam hei
To taqdeer ne najane kyun, humein aise logon se milaya tha
Lakh chahta hoon mein, par dil mera pathar ka ho nahi pata
Ya rab aisa dil tune, mere seene mein kyun lagaya tha
Yaqeen hei mujhe iss baat ka, wo tadpe gi ik din yaad mein
Par ussdin mein bhi bhool jaonga,jaise usne mujhe bulaya tha
Doob jayegi wo uss sumandar mein, hoga qatra jo meri aankh ka
Jo aanso uski yaad mein, meri aankhon mein kabhi aaya tha
Ab muskura de zara, tujhe rab par kya bharosa nahi WAKAS
Usse khuda ne tere liye nahin, kisi aur ke liye banaya tha
|
|