donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jis waqt khadd-o-khaal badalti hay roshni *
GHAZAL
(Zoo Qafiya)

Jis waqt khadd-o-khaal badalti hay roshni
Taqweem-e-maah-o-saal maiN dhalti hay roshni

Sehn-e-ghazal maiN noor-e-takhayyul ki hay namoo
HarfoN ki auRay shaal tahalti hay roshni

Teera shaboN maiN baiTh kay likhta hooN sher jab
Misl-e-qamar khyaal ugalti hay roshni

Sabzay ko kaaTne se tau baRhti hay teergi
Sookhay shajar ki chhaal maiN palti hay roshni

Kis karb se guzarti hay , jaanay faqat kiran
Kaisay diye ki Dhaal maiN jalti hay roshni

Deepak zra jo chaiRa kisi ne sar-e-falak
Karte huway dhamaal uchalti hay roshni

Aahistagi se aise chalay aasmaaN pe chaaNd
Jaise syaah thaal maiN chalti hay roshni
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376