donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nazar MaiN taab hi kam hay keh roshni kam hay *
GHAZAL
Nazar MaiN taab hi kam hay keh roshni kam hay
BasaaratoN ka bharam hay keh roshni kam hay

Gahan lga diya sooraj ko pehli nasloN ne
Ye mairi nsal ka gham hay keh roshni kam hay

Jo shehr bhar kay charaaGh apne ghar , jalaata hay
Usi kay dar pe raqam hay keh roshni kam hay

Muheeb aNdhairoN main dab kar kahiN na reh jaaye
Khabar bohat hi aham hay keh roshni kam hay

Tahyuraat main gum hooN main kya kahooN is ko
Gumaan-e-hast-o-adam hay keh roshni kam hay

Na jaane kis liye dhuNdla rha hay har chehra
Ye maira aakhri dam hay keh roshni kam hay

Har aikaaNkh ujaalay ki raah takti hay
Naza nazar ka alam hay keh roshni kam hay

Kare gi faisla sham’e-e suKhanwar-e-doraaN
Syaah raat main dam hay keh roshni kam hay

MaiN TimTimaata huwa aaKhri sitaara hooN
Ye roshni ki qasam hay keh roshni kam hay

Khilay tau kaise khilay teergi main WARD koi
Kali kali pe sitam hay keh roshni kam hay
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 399