donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wasi Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Abhi to ishq mai'n aisa bhi haal hona hay *
Abhi to ishq mai'n aisa bhi haal hona hay, 
ke ashq rokna tum se mohaal hona hay,
har aik lab pe hay meri wafa ke afsanay,
tere sitam ko abhi lazawal hona hay, 
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay ,
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay,
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay,
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay,
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahon main, 
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay ,
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan,
baas intizaar hay kab yeh kamal hona hay,
har shaks chalay ga humari rahoon per,
mohabaton main humahin woh misaal hona hay,
Zamana jis k kham-o-peech main ulajh jaye,
humari zaat ko aisa sawal hona hay,
"Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga, 
usay bhi apne kiye ka malal hona hay.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354