donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wasi Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuchh Nahi Milta *
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuchh Nahi Milta,
Mandeiro'n Se Chiraagho'n Ko Bhuja Ker Kuchh Nahi Milta,

Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho , Achha Bhi Lagta Hai,
Hazaro'n Khawb Aankho'n Mei'n Saja Ker Kuchh Nahi Milta,

Sakoo'n Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi jaa Ker,
Jinhe'n Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuchh Nahi Milta,

Issay Kehna Ke 'palko'n Per Na Tanke Khawbo'n Ke Jhalar,
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuchh Nahi Milta,

Yeh Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootne Paye'n,
Kabhi Kabhi Dosto'n Ko Aazma Ker Kuchh Nahi Milta,

Mujhe Aksar Sitaro'n Se Yehi Aawaaz Aati Hai,
Kissi Ke Hijr Mei'n Neendei'n Ga’nwa Ker Kuchh Nahi Milta,

Jigar Ho Jayega Chhalni Yeh Aankhei'n Khoon Royengi,
"Wasi" Be Faiz Logo'n Se Nibha Ker Kuchh Nahi Milta. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344