donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wasi Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab jo bichray hai'n to ehsaas hua hai hum ko *
Ab jo bichray hai'n to ehsaas hua hai hum ko, 
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hai'n ,
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hai'n ,
Ab jo bichray hai'n to ehsaas hua hai hum ko, 
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hai'n, 
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hai'n ,
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hai'n, 
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hai'n, 
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko,
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay, 
aik saath hum mil ker raha kertey thay, 
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hai'n ,
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hai'n ,
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko, 
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay ,
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay, 
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain, 
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai, 
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai, 
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hai'n, 
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko, 
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hai'n,
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hai'n, 
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407