* Aisi Jaldi Bhi Kya Hai *
Aisi Jaldi Bhi Kya Hai
Main ab gahre gunjan kheton mein
Eik maang si sabz dandi pe chalne laga hoon
Mujhe kya khabar
Raat shabnam giri
Aur kitni giri thi
Magar mere jote bahut bhari hokar
Zamin se chipakne lage hain
Aur eik chap mere aqab mein
Dabe paon aane lagi hai
Eik asar arbe chehra be naam haiyat
mulayam si barik malmal mein lipti koi doodhiya
jo khaddar ki chadar ki khuahish mein nikli hai
mera badan odhne par bazid hai
magar main to itna hi bas janta hoon
ise mere piche yoon hi chalet aana hai
sadiyon par aana
badan aur saye ka rasta nibhana hai
eik udti chidia se
ruk kar main kahta hoon
is ka batai
ke kheton ki is aakhri hadd pe jakar
padna hai mujh ko
padna hai is ko
badan aur saye ka kirdar
aakhir to eik din badalna hai
phir aisi jaldi bhi kya hai |