donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wazir Agha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhup ke sath gya sath nibhane wala *
Dhup ke sath gya sath nibhane wala
Ab kahan aye ga wo laut ke ane wala
Rait par chor gya naqsh hazaron apne
Kisi pagal ki tarah naqsh mitane wala
Sabz shakhain kabhi aise tu nahi cheekhti hain
Kaun aya hai parindon ko darane wala
Ariz e sham ki surkhi ne kiya fash use
Parda e abr may tha aag lagane wala
Safar e shab ka taqaza hai mere sath raho
Dasht purhaul hai tufan hai ane wala
Mujh ko darparda sunata raha qissa apna
Agle waqton ki hikayat sunane wala
Shabnami ghas ghane phool larazti kirnain
Kaun aya hai khazanon ko lutane wala
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 618