donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Yahya Jasdanwalla
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.Nche *
Raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.Nche, 
kabhii subah tak na pahu.Nche kabhii shaam tak na pahu.Nche, 

mujhe mast agar banaa de ye nigaah-e-mast terii, 
mera haath kyaa nazar bhii kabhii jaam tak na pahu.Nche, 

mujhe apanii bekasii kaa nahii.n Gam Khayaal ye hai, 
kahii.n baat ba.Dhate ba.Dhate tere naam tak na pahu.Nche, 

jo ye daur bevafaa hai tera Gam to mustaqil ho, 
vo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahu.Nche, 

[mustaqil=permanent; dawaam=infinity] 

ye anokhii bar_hamii hai ke na bhuule se labo.n par, 
basabiil-e-tazaqiraa bhii mere naam tak na pahu.Nche, 

[barahamii=injustice; basabiil-e-tazaqiraa=in the course of discussion] 

kahii.n is tarah bhii ruuThe na kisii se ko_ii 'Yahya' 
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahu.Nche. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363