|
* Jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai *
Jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai,
aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai,
hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar,
apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai,
saare sahaare ishq ke TuuT chuke hai.n hijr me.n,
ek tumhaarii yaad bas dard kii Gham-gusaar hai,
ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke,
aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai
luT ga_ii Gham kii aabaruu luT chukii dil kii aarazuu,
'Yahya' nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiid_vaar hai.
|
|