* Aa bhii jaao kii zindagii kam hai *
Aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahiin ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahiin
shahar men aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaandanii kam hai
aaiinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii main mukammal huun
bin tere terii 'Yamini' kam hai
|