donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Yas Bihari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har mahine se bartar hai maahe sayaam *
MAAH E SAYAAM ( Ramzan ul Mubarak )

Har mahine se bartar hai maahe sayaam
deen o millat ka zevar hai maahe sayaam
fazle khaliq ne ramzan ko paydaa kiya
rahmat e haq ka mazhar  hai maahe sayaam
Eik nekee ka miltaa hai sattar sawaab
nikookaar ka daftar hai maahe sayaam
rozadaroN se hai keyaa mahalle men dhhoum
mahmaan aaj ghar ghar hai maahe sayaam
hai shabe qadr iss maah ki eik raat
faiz o lutf ek sarasar  hai maahe sayaam 
rozaa ramzaN ka hazrat ko marghoob hai
dil pasand e payambar hai maahe sayaam
kioN na ho Eid jaisee khushi momino
aaya Allah o Akbar hai maahe sayaam
dekh kar chaand ko towp chhutne lagee
tera parcham falak par hai maahe sayaam
rozaa dho daalta hai gunahoN ke daagh
dil ko karta monawwar hai maahe sayaam
yuN tao achchha har ek chaand ay yaas hai
phir bhi sardaar o sarwar hai maahe sayaam

.........By Yaas Bihari (1886-1960) Nawada.
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 452