donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Yawar Maajed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baalishtiye *
baalishtiye
Yawar Maajed
 
kursiyoN par
mez ke chaaroN taraf
baiThe huye baalishtiye
 
sigrateN sulgaaye
apni ainakoN ke
malgaje sheeshoN se
ik dooje ko takte
chaaye ki chainak se
cup meN chuskiyaaN bharte huye
aur chalakti chaaye kap se chaaT kar
DoNgre barsaa rahe haiN daad ke ik baat par
 
.... zer-e-lab sargoshiyoN meN gaaliyaN bhi baRbaRaate jaa rahe haiN
 
un ke ik ik harf
ik ik baat meN
......... eeqaan hai
......... aur ik andha aetamaad
jaise dunioyaaoN ke KHaaliq ne
inhi ke mashvare se
zindagi tarteeb di
 
gaaliyoN ke, daad ke aur qehqahoN ke daur meN
chaaye ke kap meN uThe toofaaN ke baRhte shor meN
 
uTTh paRe haiN apne hhaathoN meN liye adse muqa'ar
pinDliyoN se baaNs baaNdhe
apna apna qad chhupa kar
sab ki pasta qaamati ko maapte baalishtiye
 
ooNchi aavaazoN meN poore zaur se
baat har ik doosre ki kaaTte baalishtiye
chaaye ke kap chaaTte baalishtiye
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366