donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kam ter ki havas mein jo brabar ki hawa thi *
Kam ter ki havas mein jo brabar ki hawa thi,
Apni to samajh se hi baher woh  hawa thi,

Kaya sabzai baigana bichha tha mery ander,
Kaya charon taraf sabz sanober ki hwa thi,

Is sham to kuch aur bhi raushan the sitare,
Aisi koi is mah-e-munawwer ki hawa thi ,

Ek pair tha, aur,pair ke baher koi mausam,
Ek bagh tha aur bagh  ke ander ki hawa thi,

Ek chhaun rahi dhoop ki chader ke tale aur,
Sahra ke bagolaon mein samander ki hawa thi,

Zanjeer  zyan bhi thi mere paon mein lakin,
Hathon mein kisi khuabe muatter ki hawa thi,

Main bhi tha kisi aur traf mahv-e-tamasha,
Who bhi kisi mit-te huai manzar ki hawa thi,

Baher ki traf rukh tha mere seele sukhan ka ,
Lakin  yeh kisi gunbad-e-be-der ki hawa thi ,

Muddat se zafar ,rok rakh tah jise main ne ,
Sheeshe  ke muqabil kisi pathther ki hawa thi .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400