donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Us ke safar meiN zaad-e-safar dekhnaa nahiiN *
Us ke safar meiN zaad-e-safar dekhnaa nahiiN, 
Khud bhii mile to ek nazar dekhnaa nahiiN ,

karnaa hai aur tarah se mahsuus ab use ,
phirnaa hai aas paas, magar, dekhnaa nahiiN, 

koii savaar hii na nikal aaye, is liye, 
ham ko ghubaar-e-rahguzar dekhnaa nahiiN ,

jab dekhne chale to hameN kuChh pata na tha ,
kis samt dekhnaa hai, kidhar dekhnaa nahiiN, 

aankhoN meiN ek baar hii bhar leN ge us kii shakl, 
dekhaa use to baar-e-digar dekhnaa nahiiN, 

ik lafz jo laboN pe laraztaa hai raat din, 
kehnaa hai, aur, Khwaab-e-asar dekhnaa nahiiN, 

aChhaa hai, rokiye na hameN aap bhii, k ham ,
dekheN ge us taraf hii jidhar dekhnaa nahiiN, 

tum kuChh bhii ho, ham aayeN ge bas dekhne tumheN ,
maqsad tumhaare ‘aib-o-hunar dekhnaa nahiiN, 

us kii taraf se baiThhe ho muuNh pher kar ‘Zafar’ 
aaye hii kis liye the agar dekhnaa nahiiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348