donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekhna hai wo mujh par meharban kitna hai *
Dekhna hai wo mujh par meharban kitna hai,
Asliyat kahan tak hai aur guman kitna hai,
Kya panah deti hai aur ye zamin mujh ko,
Aur abhi mere sar par asman kitna hai,
Kuch khabar nahi ati kis ravish pe hai tufan,
Aur kata phata baqi badaban kitna hai,
Tor phor karti hain roz khahishain dil mai,
Tang in makanon se ye makan kitna hai,
Kya uthaye phirta hai bar e ashiqi sar par,
Aur dekhane mai wo dhan pan kitna hai,
Harf e arzu sun kar janchane laga yani,
Is mai bat kitni hai aur byan kitna hai,
Phir udas kar degi sarsari jhalak us ki,
Bhool kar ye dil us ko shadaman kitna hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378