donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Guzra hai mere hale parishan ki taraf se *
Guzra hai mere hale parishan ki taraf se,
Jo akas ura subh gariban ki traf se,

Eik aisi kiran jo ki andheri hai na raushan,
Uchhli hai chiraghe tahe daman ki traf se,

Qismat jo kulhi bhi to kuchh is terhan ki mujh tak,
Dariya ki hawa aiyee biyanban ki traf se,

Hon qaid bhi azad bhi is dil ki badaulat,
Zindan ko rawan hon kabhi zidan ki traf se,

Mera bhi safer muft mein tai hone laga  hai,
Khush hon bahut  is khake-e-khiraman ki traf se,

Rahta hon kisi taza museebat mein giraftar,
Mushkil ki taraf se kabhi aasan ki traf  se,

Mohlat si koi tandiy toofan ki taraf ko,
Mausam sa koi Khauabe gulistan ki taraf, 

Khud se hua khali to sabhi khauf huay khatm,
Be fiker bara hon sar-o-saman ki taraf se

Mera yeh, zafar, manzar-e-maujood pe rahna,
Hai eik ishrah kisi imkan ki traf se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381