donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yahi nahi'n ke dile zaar se ulajhta hai *
Yahi nahi'n ke dile zaar se ulajhta hai
Woh roz shahar me'n do char se ulajhta hai

Rehayee chahta hai meri qaid se tera khawab
Jo dar nahi'n hai to deewar se ulajhta hai

Hawaye tund ka jho'nka na jaane keyo'n har sham
Bache khuche mere aasar se ulajhta hai

Jo ghar ka naqsha hi us ne deya hua hai ghalat
To phir kis liye memaar se ulajhta hai

Koyee to hai jo barabar bahao ke bar aks
Mokhalif aati huyee dhar se ulajhta hai

"Zafar: dikha koyee kirdaar bhi ke tu har baar
 Jaha'n ulajhta hai guftar se ulajhta hai

G.O.R-lll, B.F-74, Shadman, Lahore (Pakistan)

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364