donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kuChh nikaali hai, kuChh ghuseRhii hai *
kuChh nikaali hai, kuChh ghuseRhii hai,
koii to shai kahiiN nabeRhii hai,

ham ne har dastaan ke andar,
ik nayii daastaan hhai,

huuiiN ghaayab hamaari sab samteN,
jo mayyasar hai voh bhii TeRhii hai,

jo nikaali thii us ne baal kii khaal,
ham ne voh khaal bhii udheRii hai,

kaam apna tamaam kar de gii,
voh thapeRaa hai ya thapeRii hai,

suKhan aaraai ajnabi nahiiN kuChh,
ham ne yeh bhii mashiin geRii hai,

is musiibat ko aur kuChh na kaho,
ham ne yeh aap hii saheRii hai,

biich meiN hii bhaTak rahe haiN kahiiN,
apnii choTii hai aur na eRii hai,

baat ab aur hai k ham ne, "Zafar",
iiNT buniyaad kii ukheRii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372