donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hawa ke haath pe rakhaa hua mu’amla hai *
Hawa ke haath pe rakhaa hua mu’amla hai,
so, yeh hamaara tumhaara bhii kya mu’amla hai,

kabhii mileN bhii to mausam kii baat karte haiN,
hamaara us kaa t’alluq hii la_mu’amla hai,

hameN to us se muhabbat hai, yeh to maante haiN,
use nahiiN hai to yeh ik juda mu’amla hai,

hamaare vaaste manzil mu’amla nahiiN ishq,
so, jis qadar bhii hai, bas raasta mu’amla hai,

yahaaN hamaare na hone meiN, aur hone meiN,
zyaadah farq nahiiN, ek saa mu’amla hai,

kuChh us kii bazm meiN jaane se to nahiiN inkaar,
bas us ke saath hamaara zara mu’amla hai,

hamaara kaam to yalghaar hai muhabbat kii,
rahaa bachaao, to yeh aap kaa mu’amla hai,

abhii yeh raaz kisi par nahiiN khulaa k yeh khel,
bashar mu’amla hai ya Khuda mu’amla hai?

fasaad hotaa hii rehtaa hai us gali meiN ‘Zafar’,
par is dafa to koii duusra mu’amla hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378