|
* Nahi ki milne milane ka silsila rakhna *
Nahi ki milne milane ka silsila rakhna,
Kisi bhi satah pe koi to rabta rakhna,
Madad ki tum se tawaqqo to khair kya hogi,
Garib e shahar e sitam hoo'n mera pata rakhna,
Marain ge aur hamare siwa bhi tum pe bahut,
Ye jurm hai to phir is jurm ki saza rakhna ,
Naye safar pe rawana hua hai az sar e nau,
Jab aoo'n ga to mera nam bhi naya rakhna ,
Hisar e shauq uthna `zafar` zaroor magar,
Kisi taraf se nikalne ka rasta rakhna. |
|