donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Qayaam hai abhii, suu-e-safar bhii aata huuN *
Qayaam hai abhii, suu-e-safar bhii aata huuN,
maiN is taraf se to ho luuN, udhar bhii aata huuN,

koii mujhe bhii vahaaN apne saath le jaaye,
maiN raaste pe is ummiid par bhii aata huuN,

tumhaari bazm meiN honaa hai jo suluuk, us kii,
mujhe Khabar bhii hai, aur, beKhabar bhii aata huuN,

kiya to hai mujhe gumraah bhii muhabbat ne,
maiN ghuum phir ke, magar, apne ghar bhii aata huuN,

kuChh apne zaahir-o-baatin ko aap bhii dekheN,
k maiN to jaisaa huuN, vaisaa nazar bhii aata huuN,

jahaaN jahaaN mire ‘aiboN kii aandhiyaaN haiN ‘Zafar’,
vahiiN maiN le ke chiraagh-e-hunar bhii aata huuN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394