donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Iqbal Zafar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh khauf ka aalam thaa faza toot rahi thee *
Woh khauf ka aalam thaa faza toot rahi thee
Larzish thee labo'n par ke dua toot rahi thee

Saa'nso me'n koyee garmiye ehsas nahi'n thee
Mausam thaa saarabo'n ka hawa toot rahi thee

Har shakhs waha'n apne hi qadmo'n me'n parha thaa
Har aan hi deewar ana toot rahi thee

Peechhe ki taraf murh ke koyee dekhta bhi kyo'n
Har shakhs khule sar thaa balaa toot rahi thee

Maujo'n se ulajhta hua khawahish ka safeena
Halchal thee ke taqdees qoba toot rahi thee

Aaya tha nazar chand "Zafar" baam falak par 
Ya zehan me'n yaado'n ki ghata toot rahi thee

170,Kheldar, Fatehpur-212601 (U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 415