donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zaheer Ghazipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo shor karte rahe shor hii mein doob gaye *
Jo shor karte rahe shor hii mein doob gaye
Sab apne zauqe janoo ki nadii mein doob gaye

ajeeb saanha guzra hai noktaa daano per
jis aagahi se woh ubhre ussi mein doob gaye

rafeeq ban ke jab aaye naya khayal koii
khushi kuchh itnii mili, ham khushi mein doob gaye

kisi taraf se bhi koii sada nahii aayee
parinde shaam se hii khamashii mein doob gaye

ab apne zarf ke taaboot per hai'n noha kana'n
jo log apnii hii khush aagahi mei'n doob gaye

zabaano lafz ke abtak hazaro'n jaadugar
khud apne fan kii andherii gali mein doob gaye

ubhar sa ke naa jo haalat ke thaperho'n se
woh rafta rafta ghame zindagii mei'n doob gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366