donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zahoor Nazar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le *
Haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le,
ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n,

shahar-e-shab me.n kaun-saa ghar thaa na dii jis par sadaa,
niind ke andhe musaafir ko milaa kuchh bhii nahii.n,

umr bhar umr-e-gurezaa.N se na merii ban sakii,
jo kare karatii rahe mai.n puchhataa kuchh bhii nahii.n,

[umr-e-gurezaa.N = fleeting life]

vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGhaz dekh kar,
mai.n ne us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 651