donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zaidi Jafar Raza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* NAZM-- NIZAAM-E-KAJRAVI *
NIZAAM-E-KAJRAVI

Ye mahfilen, ye dosti, ye e'tabar kuchh nahi.
Kisi pe aaj aadmi ka ikhtiyar kuchh nahin..
Farishte hans rahe hain nekiyon ke zikr-e-khair par,
Safar men shaitanat ke, zeest ka waqaar kuchh nahin..
Nafas-nafas hai apni zaat ki numaishon men gum,
Bashar ke saamne vujoode-kirdagaar kuchh nahin..
Vo ilm ho le ho amal, tijaaraten hain har taraf,
bala se khalfishaar ho, ye khalfishaar kuchh nahin..
Usool ki jo baat kar raha ho, bad-dimaagh hai,
Nizam-e-kajravi men fard-e-burdbaar kuchh nahin..
Zameen pe ho rahe hain roz, aaqibat ke faisle,
Khuda hain kursiyan, Khuda-e-noor-o-naar kuchh nahin.
N koi markaze-uloom hai n tarbiyat-kada,
Jawan hain bad-tameeziyan, tameezdar kuchh nahin..
Siyaah-kaariyon ka raqs hai faqat urooj par,
Badi ka ek khmaar hai, bajuz khmaar kuchh nahin..
Tilaa'i-nuqra'i rivaayaton ke khol men saja,
Khizan-raseeda darsgaah ka dayaar kuchh nahin..
Alig hain vo aaj, jo lahoo-b-kaf hain saf-b-saf,
Nahaaye apne khoon men jo shaheed-e-daar, kuchh nahin..
Khuda ki rahmaton ke saare chashme khushk ho gaye,
Chaman tha jin se shaadmaan, vo aabshaar kuchh nahin..
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319