donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zaira Areeb Swati
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo rat jage me’n badan per azaab rakhta ha *
Jo rat jage me’n badan per azaab rakhta ha,
Wahi to aankh me’n jheelo’ ke khwaab rakhta hai,
Wahi To hai jo badalTa hai mausamo’n ke rang,
Jo apne pahloo me’n sookhe gulab rakhta hai,
Woh ujrhi basti me’n dholak ki thaap per naache,
Jo apni hasti me’n zewar ke khwaab rakhta hai,
Nikhaar paayega kiyo’n kar labo’n ka rang mera,
Wesaal apna jo misle saraab rakhta hai,
Wahi To “Zaira” ko boond boond Tarsaye,
Jo dashte hijr me’n baadal ke khwaab rakhta hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 427