donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zarrah Hyderabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Abhi kuchh log aayenge tamasha hone wala hai *
Abhi kuchh log aayenge tamasha hone wala hai,
Hame'n pagal banaye'nge tamasha hone wala hai,
Hamare ghar bhi aayenge hamare vote ki khatir,
Phir hamko bhool jayenge tamasha hone wala hai,
Gharibi kya mitayenge hamare ghar mitane ko,
Seyasi log aayenge tamasha hone wala hai,
Yehi anjam hota hai yaha'n sachche sipahi ka,
Mujhe zinda jalayenge tamasha hone wala hai,
Ameer shahar ke chele hajoome shahar mei'n aakar,
Hansenge aur hansayenge tamasha hone wala hai,
Udhar ahle qalam sare sare darbar baithe hai'n,
Jo chahenge likhayenge tamasha hone wala hai,
Mere Islam ke leader suna hai shahar me'n mere,
Kahi'n masjid jalayenge tamasha hone wala hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 450