donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
zubair alam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Her cheez hoti hai fana bahane se *
Her cheez hoti hai fana bahane se 
Na mila na milega kuch zamane se 

Kehtey hain dil-kush hai rukhasar unka 
Kabhi poochenge unke aayene se 

Bbikhari zulfein, tanz aankhen, khasta haal 
Aaye hain shayed mei –khane se 

Her lamha kami, bechaini, intezaar 
Rehtey hain aashiq hi deewane se 

Kat rahi thi benoor zindagi kahin 
Noor hai aaya aapkey aane se 

Haq hai haqiqat islam ki 
Per hain musalmaa hi bagaane se 

Izzat hai nazaron ko zhukane se 
Nakaab mein cheherey ko chupane se 

Sunnat mein duniya bhi hai jannat bhi 
Milta hai sawab bhi muskurane se 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 462