donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Haseen Firozabadi
Poet
--: Biography of Haseen Firozabadi :--

Haseen Firozabadi

Ustad Haseen Ahmad ‘Haseen Firozabadi’ ki paidayesh July 1924 men hui, aapke walid e muhtaram ka naam sayyed chhuttan shah tha, walida ka intiqal haseen sahib ke bachpan men hi ho gaya tha….. unke walid ne 1928 meN muhalla sheeshgran ki masjid se mulhiq madarsey meiN men Arabi ki taleem hasil karne ke liye dakhil kara diya…

Aap ne quraan ka nazira (nadira) 1933 tak kar liya us ke baad urdu ki taleem ka silsila 1934 men shuroo hua maulvi Abdul Ghafoor Sahib ne aapko urdu ki taleem se aarastah kiya, darja 4 se hi aapka rujhaan shayree ki taraf hua, aapne apna ibtidaayee kalam Janab KAIFI sahib ko dikhaya baad men mustaqil taur par aap ‘Taj ul Shoara janab Hakeem Abdul Qadeer “Nausha Marehrvi” sahib ki khidmat Zanu e tallmmuz ikhtiyar kiya

Haseen Sahib ne mazhabiyaat, falsafa, imraniyaat, hikmat, or fanne arooz jaisey uloom ka baqayada mutala kiya aur uska asar unke kalam me bhi dekhne ko milta hai…

Haseen sahib ke kalam ka majmooa “NIGAARISTAAN E HASEEN ” ke naam se 1995 men manzar e aam par aaya. … san 2005 mein urdu shayiri ka ye mah-e-kamil ghuroob ho gaya…


Aapke mutaddad shagird hue unme kuchh behad pukhtago hue….
maslan…anwar shameem anwar, anwar kamal anwar, hamid firozabadi ke naam qabile-zikr hain..

***********************

 

 
You are Visitor Number : 2099