donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BURHAPA

Waqt-e-peeri shabaab ki baate_n,

Aisi hai_n jaise khwaab ki baate_n.

Author : Zauq

Raundey hai naqsh-e-pa ki tarah khalaq yaa_n mujhe,

Ai umr-e-rafta chhor gai laa kar kahaa_n mujhe.

Author : Dard

Kal hum aaeene mei_n rukh ki jhurria_n dekha kieye,

Kaarwaan-e-umr-e-rafta ke nishaa_n dekha kieye.

Author : Safi

Jawaani se zayaada waqt-e-peeri josh hota hai,

Bharakta hai chirag-e-subah jab khaamosh hota hai.

Author : Unknown

Jawaani se zayaada waqt-e-peeri josh hota hai,

Bharakta hai chirag-e-subah jab khaamosh hota hai.

Author : Unknown

Maara Asadullah Khan zamaane ne tumhe_n,

Woh walwale kahaa_n, woh jawaani kidhar gai.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Muzmahil ho gaye qawa, Ghalib,

Woh anaasir mei_n aitdaal kahaa_n.

Author : Mirza Ghalib

Sab cheez ko hota hai bura, haae burhaapa,

Aashiq ko tau Allah na dikhlaae burhaapa.

Author : Nazir Akberabadi

Ab jo ik hasrat-e-jawaani hai,

Umr-e-rafta ki yeh nishaani hai.

Author : Mir Taqi Mir

Jab ainth ke chalte the, sapar baandh, utha saif

Ab tek ke laathi ke taeei_n chalte hai_n, sad haif.

Author : Nazir Akberabadi

Jo aake na jaae woh burhaapa dekha,

Jo ja ke na aaae woh jawani dekhi.

Author : Anees

Ahd-e-jawani kat gaya, waqt-e-peeri aa gaya,

Ab asa banwaaeye, nakhl-e-tamanna kaat kar.

Author : Unknown

Go haath mei-n jumbish nahi_n, aankho_n mei_n tau dam hai,

Rahne do abhi saaghir-o-meena mire aage.

Author : Mirza Ghalib

Hosh-o-hawass, taab-o-tawaa_n Dagh ja chuke,

Ab hum bhi jaane hai_n, saamaan tau gaya.

Author : Dagh

Lutaf-e-sakhun bhi peeri mei_n rahta nahi_n hai, Mir,

Ab shair hum parhe_n hai_n, tau wok shadd-o-madd nahi_n.

Author : Mir Taqi Mir

Wohi shabaab ki baaten, wohi shabaab ke rang,

Tumhe_n Riaz burhaape mei_n bhi jawaan dekha.

Author : Riaz

Ghazal us ne chheri mujhe saaz dena,

Zara umr-e-rafta ko awaaz dena.

Author : Safi Lucknawi

Ahd-e-jawani ro ro kaata, peeri mei_n li aankhe_n moond,

Yaani raat bahut the jaage, subah hui aaraam kiya.

Author : Mir Taqi Mir

Marzi ho tau sooli pe charhaana yaarab,

Ya naar-e-jahannum mei_n jalaana, yaarab,

Author : Josh

Zuaf-e-peeri jo barha maut ke paighaam chale,

Aa gaya waqt-e safar, subah chale, shaam chale.

Author : Riaz

Shabaab mit chuka, yaad-e-shabaab baqi hai,

Hai boo sharaab ki, saaghar mei_n ab sharaab nahi_n.

Author : Akhtar Sheerani

Maashooq kahe_n aap hamaare hai_n bazurg,

Na cheez ko yeh din na dikhana, yaarab.

Author : Josh

 
Total Visit on BURHAPA : 2561