donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DILLI

Kooche nahi_n Dilli ke, auraaq-e-musawwar the,

Jo shakl nazar aai, tasweer nazar aai.

Author : Mir Taqi Mir

Ai, Mushafi tu in se mohabbat na kijeo,

Zaalim ghazab ki hoti hai_n yeh Dilli waaliaa_n.

Author : Mushafi

Pagri apni sambhaaliye ga, Mir,

Aur basti nahi_n, yeh Dilli hai.

Author : Mir Taqi Mir

Shikwa-e-aabla abhi Se, Mir,

Hai pearey, hanooz Dilli door.

Author : Mir Taqi Mir

In dino’n garche dakan mei_n hai bari qadar-e-sakhun,

Kaun jaae Zauq, par, Dilli ki galiaa_n chhor kar.

Author : zauq

Hai ab is maamoora mei_n qaht-e-ghum-e-ulfat. Asad,

Hum ne ye maana ke Dilli mei_n rahe_n, khaawenge kya.

Author : Mirza Ghalib

Dilli mei_n aaj bheek bhi milti nahi_n unhe_n,

Tha kal talak dimaagh jinhe_n taaj takht ka.

Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on DILLI : 854