donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
HASRAT
Aarzooei’n hazaar rakhte hai’n,
Tau bhi hum dil ko maar rakhte hai’n.
Author : Mir Taqi Mir

Wa hasrata! ke yaar ne kheincha sitam se haath,
Hum ko harees-e-lazzat-e-aazaar dekh kar.
Author : Mirza Ghalib

Kahte hain ik fareb-e-musalsal hai zindagi,
Usko bhi waqf-e-hasrat-o-hirmaa’n bana diya.
Author : Asgher Gondvi

Hawas-e-deed miti hai, na mitegi Hasrat,
Dekhne ke lieye chaaho unhe’n jitna dekho.
Author : Hasrat

Hawas-e-deed miti hai, na mitegi Hasrat,
Dekhne ke lieye chaaho unhe’n jitna dekho.
Author : Hasrat

Hasrat uski jagah thi khwabeeda,
Khol kar Mir ka kafan dekha.
Author : Mir Taqi Mir

Kah do yeh hasrato’n se kahi’n aur ja basein,
Itni jagah kahaa’n hai dil-e-daaghdaar mei’n.
Author : Zafar

Khaana-e-jaan mei’n namoodar hai ik paikar-e-noor,
Hasrato aao, rukh-e-yaar ka jalwa dekho.
Author : Hasrat

Baad marne ke bhi chhori na rafaaqat,
Meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri.
Author : Ameer Minai

Hazaaro’n khwahishe’n aisi ke har khwahish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.
Author : Mirza Ghalib

Yaar pahloo mei’n hai, tanhaai hai, kahdo nikle,
Aaj kyo’n dil mei’n chhipi baithi hai hasrat meri.
Author : Ameer Minai

Hasrat bahut taraqqi-e-dukhtar ki thi unhe’n,
Parda jo uth gaya tau woh aakhir nikal gai.
Author : Akber Allahabadi

Duniya se le chala jo tu hasrato’n ka bojh,
Kaafi nahi’n hai sar pe gunaaho’n ka baar kya.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on HASRAT : 998